chaman ki sar-zamin dekhi na rang-e-gulistan maine
chaman kī sar-zamīñ dekhī na rañg-e-gulistāñ maiñ ne
qafas se tabdīliyāñ lekar banāyā āshiyāñ maiñ ne
tirī har ik adā par merī nazroñ ne kiye sajde
jahāñ tū ne qadam rakhā banāyā āstāñ maiñ ne
tirī ma.asūm nazreñ thiiñ mire ma.asūm dhoke the
ki tum nā-mehrbāñ the aur samjhā mehrbāñ maiñ ne
hazāroñ ḳhvāhisheñ thiiñ terī ḳhvāhish par fidā kar diiñ
hazāroñ āstāne the jabīñ rakh dī kahāñ maiñ ne
na jaane kaun sī rāhoñ se aa pahuñchī vahāñ duniyā
jahāñ vāloñ se chhup kar ik basāyā thā jahāñ maiñ ne
tire chāk-e-garebāñ se tujhe dard-āshnā samjhā
ḳhamoshī ko tirī samjhā mohabbat kī zabāñ maiñ ne
chaman ki sar-zamin dekhi na rang-e-gulistan main ne
qafas se tabdiliyan lekar banaya aashiyan main ne
teri har ek ada par meri nazron ne kiye sajde
jahan tu ne qadam rakha banaya aastan main ne
teri masum nazren thin mere masum dhoke the
ki tum na-mehrban the aur samjha mehrban main ne
hazaron KHwahishen thin teri KHwahish par fida kar din
hazaron aastane the jabin rakh di kahan main ne
na jaane kaun si rahon se aa pahunchi wahan duniya
jahan walon se chhup kar ek basaya tha jahan main ne
tere chaak-e-gareban se tujhe dard-ashna samjha
KHamoshi ko teri samjha mohabbat ki zaban main ne
- Book : Kulliyat-e-Sufi Tabassum (Pg. 235)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.