main haar man lun is ka sawal hai hi nahin
maiñ haar maan luuñ is kā savāl hai hī nahīñ
javāñ hai ruuh badan to niDhāl hai hī nahīñ
na tum ḳhudā ho na ho nāḳhudā na dard na ishq
tum aise ho ki tumhārī misāl hai hī nahīñ
bas aa ke baiTh ga.e sab luTā ke ishq meñ ham
ye vo uruuj hai jis ko zavāl hai hī nahīñ
tumheñ jo pā liyā ab rab se aur kyā māñgaiñ
faqat duā.eñ haiñ lab par savāl hai hī nahīñ
agar batā.eñ to kyā aa.egā kisī ko yaqīñ
hamāre ishq meñ fikr-e-visāl hai hī nahīñ
bahut baḌā to hai bāzār-e-bandagī lekin
pasand rab ko jo aa.e vo maal hai hī nahīñ
ġhazab huā jo khulā rāz-e-bandagī 'kausar'
pata chalā ki harām-o-halāl hai hī nahīñ
main haar man lun is ka sawal hai hi nahin
jawan hai ruh badan to niDhaal hai hi nahin
na tum KHuda ho na ho naKHuda na dard na ishq
tum aise ho ki tumhaari misal hai hi nahin
bas aa ke baiTh gae sab luTa ke ishq mein hum
ye wo uruj hai jis ko zawal hai hi nahin
tumhein jo pa liya ab rab se aur kya mangain
faqat duaen hain lab par sawal hai hi nahin
agar bataen to kya aaega kisi ko yaqin
hamare ishq mein fikr-e-visal hai hi nahin
bahut baDa to hai bazar-e-bandagi lekin
pasand rab ko jo aae wo mal hai hi nahin
ghazab hua jo khula raaz-e-bandagi 'kausar'
pata chala ki haram-o-halal hai hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.