samne to main ba-wazu bhi nahin
sāmne to maiñ bā-vazū bhī nahīñ
aur tāhir nazar kī ḳhū bhī nahīñ
shor dil kar rahā siine meñ
aur bas meñ rag-e-gulū bhī nahīñ
sajda bas sajda shukr kā sajda
zehn meñ kaun hai jo tū bhī nahīñ
chāk-e-dāman libās-e-jism to hai
haañ koī sūrat-e-rafū bhī nahīñ
aa utar dekh bas hai ishq tirā
in ragoñ meñ to ab lahū bhī nahīñ
ye ḳhamoshī koī ḳhamoshī hai
dasht-o-sahrā meñ hā-o-hū bhī nahīñ
tauba zauq-e-gunāh uf tauba
is ḳhatā se to surḳh-rū bhī nahīñ
ham-kalāmī kā daur ḳhatm huā
tū hai pahlū meñ guftugū bhī nahīñ
tum se milne ke ba.ad ai 'kausar'
ab koī aur aarzū bhī nahīñ
samne to main ba-wazu bhi nahin
aur tahir nazar ki KHu bhi nahin
shor dil kar raha sine mein
aur bas mein rag-e-gulu bhi nahin
sajda bas sajda shukr ka sajda
zehn mein kaun hai jo tu bhi nahin
chaak-e-daman libas-e-jism to hai
han koi surat-e-rafu bhi nahin
aa utar dekh bas hai ishq tera
in ragon mein to ab lahu bhi nahin
ye KHamoshi koi KHamoshi hai
dasht-o-sahra mein ha-o-hu bhi nahin
tauba zauq-e-gunah uf tauba
is KHata se to surKH-ru bhi nahin
ham-kalami ka daur KHatm hua
tu hai pahlu mein guftugu bhi nahin
tum se milne ke baad ai 'kausar'
ab koi aur aarzu bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.