KHalwat ki har ek baat sar-e-rah-guzar hai
ḳhalvat kī har ek baat sar-e-rāh-guzar hai
ai shoḳh zamāne ko mohabbat kī ḳhabar hai
ik huuk jo lab par hai na lahje meñ numāyāñ
kis jagah chhupā.ī hai kahāñ par hai kidhar hai
ye ḳhaar na sozan hai na ḳhanjar hai merī jaan
ye tīr-e-nazar tīr-e-nazar tīr-e-nazar hai
jis ishq ne dīvāne ko dīvāna banāyā
ik piir kī maḳhsūs duāoñ kā asar hai
sajde meñ jabīñ palkoñ pai Thahre hue aañsū
ai dil ye terī fasl-e-nadāmat kā samar hai
ko nazr karūñ tujh ko batā ai mere hamdam
ik sīna-e-sad-chāk hai ik dīda-e-tar hai
ye giit na naġhma na ġhazal hai koī 'kausar'
tahsīn-e-samā.at ke liye ek guhar hai
KHalwat ki har ek baat sar-e-rah-guzar hai
ai shoKH zamane ko mohabbat ki KHabar hai
ek huk jo lab par hai na lahje mein numayan
kis jagah chhupai hai kahan par hai kidhar hai
ye KHar na sozan hai na KHanjar hai meri jaan
ye tir-e-nazar tir-e-nazar tir-e-nazar hai
jis ishq ne diwane ko diwana banaya
ek pir ki maKHsus duaon ka asar hai
sajde mein jabin palkon pai Thahre hue aansu
ai dil ye teri fasl-e-nadamat ka samar hai
ko nazr karun tujh ko bata ai mere hamdam
ek sina-e-sad-chaak hai ek dida-e-tar hai
ye git na naghma na ghazal hai koi 'kausar'
tahsin-e-samaat ke liye ek guhar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.