main kHasta-o-ranjida aawara-e-ulfat hun
maiñ kHasta-o-ranjīda āvāra-e-ulfat huuñ
maiñ dūd-e-pareshāñ huuñ bikhrī huī nik.hat huuñ
tū āyat-e-rabbānī tū rahbar-e-vajdānī
aur terī atāoñ kī ik meñ bhī hikāyat huuñ
vīrāna-e-hastī meñ ābād kahāñ kuchh bhī
maiñ us meñ yaqīnan bas terī hī karāmat huuñ
hañgāma-e-duniyā meñ itnā sā hai afsāna
ik shauq kī hasrat huuñ ik dil kī shikāyat huuñ
Thahrāv jab aayā kuchh be-tāb tabī.at meñ
ma.alūm huā kitnī simTī huī vus.at huuñ
hai sajda-gah-e-'ālam naqsh-e-kaf-e-pā terā
masjūd-e-qadam terī maiñ misl-e-shahādat huuñ
'kausar' mirī qismat haiñ bechain tamannā.eñ
Thahrā huā rasta huuñ hotī huī hijrat huuñ
main kHasta-o-ranjida aawara-e-ulfat hun
main dud-e-pareshan hun bikhri hui nikhat hun
tu aayat-e-rabbani tu rahbar-e-wajdani
aur teri ataon ki ek mein bhi hikayat hun
virana-e-hasti mein aabaad kahan kuchh bhi
main us mein yaqinan bas teri hi karamat hun
hangama-e-duniya mein itna sa hai afsana
ek shauq ki hasrat hun ek dil ki shikayat hun
Thahraw jab aaya kuchh be-tab tabiat mein
malum hua kitni simTi hui wusat hun
hai sajda-gah-e-'alam naqsh-e-kaf-e-pa tera
masjud-e-qadam teri main misl-e-shahadat hun
'kausar' meri qismat hain bechain tamannaen
Thahra hua rasta hun hoti hui hijrat hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.