agar bayan-e-dil na-sabur niklega
agar bayān-e-dil nā-sabūr niklegā
tumhār ishq kā saarā qusūr niklegā
kabhī ye hijr kī rāteñ tamām bhī hoñgī
kabhī visāl kā sūraj zarūr niklegā
tumhāre naam kī gardān sajda chaukhaT par
dahan se ḳhushbū to māthe se nuur niklegā
maiñ jāntī huuñ ki dariyā-e-ishq kā tairāk
nikal bhī paayā to sāhil se duur niklegā
jo shīsha hotā to mumkin hai rahtā baal ke saath
ye dil hai TuuTā to phir chuur chuur niklegā
kahāñ sambhaltī hai vahshat se tere shahar kī bhiiḌ
junūn-e-dasht meñ hī bā-shu.ūr niklegā
haTā ke saare hijābāt jalva-rez to hoñ
ye sahn chashm-e-talab rashk-e-tūr niklegā
agar bayan-e-dil na-sabur niklega
tumhaar ishq ka sara qusur niklega
kabhi ye hijr ki raaten tamam bhi hongi
kabhi visal ka suraj zarur niklega
tumhaare nam ki gardan sajda chaukhaT par
dahan se KHushbu to mathe se nur niklega
main jaanti hun ki dariya-e-ishq ka tairak
nikal bhi paya to sahil se dur niklega
jo shisha hota to mumkin hai rahta baal ke sath
ye dil hai TuTa to phir chur chur niklega
kahan sambhalti hai wahshat se tere shahar ki bhiD
junun-e-dasht mein hi ba-shuur niklega
haTa ke sare hijabaat jalwa-rez to hon
ye sahn chashm-e-talab rashk-e-tur niklega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.