hausla rakh ki ye duniya nahin sari duniya
hausla rakh ki ye duniyā nahīñ saarī duniyā
ek naqsha hai ye kāġhaz pe utārī duniyā
rañg kamzor bahut the jo havas ne Daale
mujh se jis taur sañvar paa.ī sañvārī duniyā
maiñ ne kashkol uThāyā na maiñ dīvāna banā
havas kī kab mere ā’sāb pe taarī duniyā
ek darvesh ne pūchhā thā baḌī shafqat se
kaun sī merī hai aur kaun tumhārī duniyā
jāntā huuñ ki ye bas meñ nahīñ aatī aksar
ghaat meñ rahtī hai har aan shikārī duniyā
ab use kaun se kone meñ sajā.eñ 'āzād'
mere kamzor se āñgan meñ ye bhārī duniyā
hausla rakh ki ye duniya nahin sari duniya
ek naqsha hai ye kaghaz pe utari duniya
rang kamzor bahut the jo hawas ne Dale
mujh se jis taur sanwar pai sanwari duniya
main ne kashkol uThaya na main diwana bana
hawas ki kab mere aa’sab pe tari duniya
ek darwesh ne puchha tha baDi shafqat se
kaun si meri hai aur kaun tumhaari duniya
jaanta hun ki ye bas mein nahin aati aksar
ghat mein rahti hai har aan shikari duniya
ab use kaun se kone mein sajaen 'azad'
mere kamzor se aangan mein ye bhaari duniya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.