ek raat us dayar-e-fana mein qayam tha
ik raat us dayār-e-fanā meñ qayām thā
jab sub.h-e-nau milī to zamāna tamām thā
saaqī kā lutf-e-ḳhās bayāñ kis tarah se ho
shīshe chhalak rahe the baḌā ehtimām thā
'umr-e-drāz aur kahīñ par basar huī
maiñ jāntā nahīñ thā use bhī davām thā
yuuñ puḳhta-kāriyoñ kī taraf dekhtā hai dil
jaise ḳhayāl-e-ḳhām abhī aur ḳhaam thā
ab dil lagī hai dasht-e-mohabbat meñ chār-sū
pahle yahāñ junūñ kā baḌā ehtirām thā
par-basta huuñ ki mere tasarruf meñ thā falak
lab-basta huuñ ki shor-e-ḳhamoshī harām thā
'āzād' ko sunā to bahut der tak sunā
sach kah rahe the yaar baḌā ḳhush-kalām thā
ek raat us dayar-e-fana mein qayam tha
jab subh-e-nau mili to zamana tamam tha
saqi ka lutf-e-KHas bayan kis tarah se ho
shishe chhalak rahe the baDa ehtimam tha
'umr-e-draaz aur kahin par basar hui
main jaanta nahin tha use bhi dawam tha
yun puKHta-kariyon ki taraf dekhta hai dil
jaise KHayal-e-KHam abhi aur KHam tha
ab dil lagi hai dasht-e-mohabbat mein chaar-su
pahle yahan junun ka baDa ehtiram tha
par-basta hun ki mere tasarruf mein tha falak
lab-basta hun ki shor-e-KHamoshi haram tha
'azad' ko suna to bahut der tak suna
sach kah rahe the yar baDa KHush-kalam tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.