zindagi mein yun to aksar be-sar-o-saman rahe
zindagī meñ yuuñ to aksar be-sar-o-sāmāñ rahe
haañ magar lagtā hai kab tak tañgī-e-dāmāñ rahe
kyā kaheñ jab tak rahe ham soḳhta-sāmāñ rahe
jab uThe bazm-e-jahāñ se aur bhī vīrāñ rahe
koī dastak de havā zinda koī paimāñ rahe
koī dar khultā rahe kuchh vasl kā imkāñ rahe
ham to uThte haiñ magar mahfil tirī tābāñ rahe
jaam gardish meñ rahe miinā sukūn-e-jāñ rahe
dil pe saarī 'umr dāġh-e-hijr ke ehsāñ rahe
aap aa.e haiñ to phir kuchh dā'vat-e-paikāñ rahe
ai visāl-e-mo'tabar aisī shab-e-hijrāñ rahe
har tasavvur puḳhta ho kar sūrat-e-jānāñ rahe
raat Dhaltī hī nahīñ kyā intizār-e-sub.h-e-nau
kyuuñ shabistān-e-alam meñ ḳhvāb-e-sargardāñ rahe
ab ke shāḳhoñ par nasheman banñe aa.ī hai havā
ab ke shāyad aur hī kuchh gardish-e-daurāñ rahe
zindagī kī phir se ho tashkīl-e-nau tā'mīr-e-nau
'umr jab Dhalne lage ik halqa-e-yārāñ rahe
zindagi mein yun to aksar be-sar-o-saman rahe
han magar lagta hai kab tak tangi-e-daman rahe
kya kahen jab tak rahe hum soKHta-saman rahe
jab uThe bazm-e-jahan se aur bhi viran rahe
koi dastak de hawa zinda koi paiman rahe
koi dar khulta rahe kuchh wasl ka imkan rahe
hum to uThte hain magar mahfil teri taban rahe
jam gardish mein rahe mina sukun-e-jaan rahe
dil pe sari 'umr dagh-e-hijr ke ehsan rahe
aap aae hain to phir kuchh da'wat-e-paikan rahe
ai visal-e-mo'tabar aisi shab-e-hijran rahe
har tasawwur puKHta ho kar surat-e-jaanan rahe
raat Dhalti hi nahin kya intizar-e-subh-e-nau
kyun shabistan-e-alam mein KHwab-e-sargardan rahe
ab ke shaKHon par nasheman banne aai hai hawa
ab ke shayad aur hi kuchh gardish-e-dauran rahe
zindagi ki phir se ho tashkil-e-nau ta'mir-e-nau
'umr jab Dhalne lage ek halqa-e-yaran rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.