suKHan-arai ka kal humne tamasha dekha
suKHan-arai ka kal humne tamasha dekha
Shah Turab Ali Qalandar
MORE BYShah Turab Ali Qalandar
suḳhan-ārā.ī kā kal ham ne tamāsha dekhā
us kī goyā.ī kā kal ham ne tamāsha dekhā
murde jī uThte the jis vaqt vo kahtā thā ki qum
kya masīhā.ī kā kal ham ne tamāsha dekhā
nāsehā sāmne us ke na rahā hosh-o-havās
terī dānā.ī kā kal ham ne tamāsha dekhā
ḳhush huā dekh ke mahtāb ko dhoke se tire
dil kī bīnā.ī kā kal ham ne tamāsha dekhā
dil kī vahshat se na thā yak jagah us ko qarār
qais-e-sahrā.ī kā kal ham ne tamāsha dekhā
kī na duniyā ke liye bandagī maulā-baḳhsh
terī maulā.ī kā kal ham ne tamāsha dekhā
aaj udhar ruḳh nahīñ karatā hai koī shaḳhs 'turāb'
jis kī umrā.ī kā kal ham ne tamāsha dekhā
suKHan-arai ka kal hum ne tamasha dekha
us ki goyai ka kal hum ne tamasha dekha
murde ji uThte the jis waqt wo kahta tha ki qum
kya masihai ka kal hum ne tamasha dekha
naseha samne us ke na raha hosh-o-hawas
teri danai ka kal hum ne tamasha dekha
KHush hua dekh ke mahtab ko dhoke se tere
dil ki binai ka kal hum ne tamasha dekha
dil ki wahshat se na tha yak jagah us ko qarar
qais-e-sahrai ka kal hum ne tamasha dekha
ki na duniya ke liye bandagi maula-baKHsh
teri maulai ka kal hum ne tamasha dekha
aaj udhar ruKH nahin karata hai koi shaKHs 'turab'
jis ki umrai ka kal hum ne tamasha dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.