Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

suKHan-wari hamein kab tajarbe se aai hai

Muzaffar Warsi

suKHan-wari hamein kab tajarbe se aai hai

Muzaffar Warsi

MORE BYMuzaffar Warsi

    suḳhan-varī hameñ kab tajarbe se aa.ī hai

    zabāñ meñ chāshnī dil TūTne se aa.ī hai

    jidhar se merā badan dhuup chaaT kar guzrā

    havā-e-sard usī rāste se aa.ī hai

    taḌaptā maiñ huuñ pasīna hai us ke māthe par

    shikast-e-dil sadā aa.ine se aa.ī hai

    khulā subūt hai ye dushmanoñ ke shab-ḳhūñ

    ki dhuul Thahre hue qāfile se aa.ī hai

    safar meñ saath mirā aur koī kyā detā

    havā bhī merī taraf sāmne se aa.ī hai

    sahr ne mujh ko 'muzaffar' nahīñ kiyā saiqal

    mirī nazar meñ chamak ratjage se aa.ī hai

    suKHan-wari hamein kab tajarbe se aai hai

    zaban mein chashni dil TuTne se aai hai

    jidhar se mera badan dhup chaT kar guzra

    hawa-e-sard usi raste se aai hai

    taDapta main hun pasina hai us ke mathe par

    shikast-e-dil ki sada aaine se aai hai

    khula subut hai ye dushmanon ke shab-KHun ka

    ki dhul Thahre hue qafile se aai hai

    safar mein sath mera aur koi kya deta

    hawa bhi meri taraf samne se aai hai

    sahr ne mujh ko 'muzaffar' nahin kiya saiqal

    meri nazar mein chamak ratjage se aai hai

    Source :
    • Book : Kalam-e-Muzaffar Warsi (Pg. 50)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now