Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

sukun-e-qalb kisi ko nahin mayassar aaj

Ahmad Ali Barqi Aazmi

sukun-e-qalb kisi ko nahin mayassar aaj

Ahmad Ali Barqi Aazmi

sukūn-e-qalb kisī ko nahīñ mayassar aaj

shikast-e-ḳhvāb hai har shaḳhs muqaddar aaj

hai vaz.a haal mirī kyuuñ ye bad se bad-tar aaj

amiir shahar ke badle hue haiñ tevar aaj

har ek shaḳhs hai apne hisār meñ mahsūr

hai sab ke darpai-e-āzār vo sitam-gar aaj

kiyā hai gardish-e-daurāñ ne dar badar sab ko

jo sar meñ pahle thā vo paañv meñ hai chakkar aaj

samajh rahā thā jise ḳhair-ḳhvāh maiñ apnā

vahī hai dushman jaañ merā sab se baḌh kar aaj

fasīl shahar ke andar the kitne ahl-e-hunar

nahīñ hai jin se shanāsā koi bhī bāhar aaj

vo daras lete nahīñ jañg karbalā se koī

jo saf-shikan aaj vo haiñ dushmanoñ se shashdar aaj

vo qaum kaise taraqqī karegī duniyā meñ

nahīñ hai jis kahīñ koī ek rahbar aaj

bikhar ke rah gayā ḳhuud jin apnā shīrāza

samajh rahe haiñ ki haiñ vaqt ke sikandar aaj

agar muhāsba apnā kareñ to pā.eñge

nahīñ hai ham se jahāñ meñ koī bhī bad-tar aaj

jo apne haath se kashtī jalāte the apnī

nahīñ mileñge kahīñ aise vo qalandar aaj

dikhā rahā hai mujhe sabz-bāġh jo 'barqī'

vo le ke phirtā hai kyuuñ āstīñ meñ ḳhanjar aaj

sukun-e-qalb kisi ko nahin mayassar aaj

shikast-e-KHwab hai har shaKHs ka muqaddar aaj

hai waza haal meri kyun ye bad se bad-tar aaj

amir shahar ke badle hue hain tewar aaj

har ek shaKHs hai apne hisar mein mahsur

hai sab ke darpai-e-azar wo sitam-gar aaj

kiya hai gardish-e-dauran ne dar badar sab ko

jo sar mein pahle tha wo panw mein hai chakkar aaj

samajh raha tha jise KHair-KHwah main apna

wahi hai dushman jaan mera sab se baDh kar aaj

fasil shahar ke andar the kitne ahl-e-hunar

nahin hai jin se shanasa koi bhi bahar aaj

wo daras lete nahin jang karbala se koi

jo saf-shikan aaj wo hain dushmanon se shashdar aaj

wo qaum kaise taraqqi karegi duniya mein

nahin hai jis ka kahin koi ek rahbar aaj

bikhar ke rah gaya KHud jin ka apna shiraaza

samajh rahe hain ki hain waqt ke sikandar aaj

agar muhasba apna karen to paenge

nahin hai hum se jahan mein koi bhi bad-tar aaj

jo apne hath se kashti jalate the apni

nahin milenge kahin aise wo qalandar aaj

dikha raha hai mujhe sabz-bagh jo 'barqi'

wo le ke phirta hai kyun aastin mein KHanjar aaj

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now