sans sine mein Khaar jaisa tha
saañs siine meñ ḳhaar jaisā thā
an-kahī kā ġhubār aisā thā
hāfize ne kiyā karam itnā
ab nahīñ yaad yaar kaisā thā
saath chal ke bhī ham-rikāb na thā
vo kisī rah-guzār jaisā thā
bāñdhā āñchal se raḳht-e-ġham qasdan
dil be-iḳhtiyār aisā thā
miT gayā imtiyāz-e-bātil-o-haq
'izzatoñ kā me'yār paisa thā
ādamiyat hī ho ga.ī ruḳhsat
nashsha-e-iqtidār aisā thā
sans sine mein KHar jaisa tha
an-kahi ka ghubar aisa tha
hafize ne kiya karam itna
ab nahin yaad yar kaisa tha
sath chal ke bhi ham-rikab na tha
wo kisi rah-guzar jaisa tha
bandha aanchal se raKHt-e-gham qasdan
dil be-iKHtiyar aisa tha
miT gaya imtiyaz-e-baatil-o-haq
'izzaton ka me'yar paisa tha
aadamiyat hi ho gai ruKHsat
nashsha-e-iqtidar aisa tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.