Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

su-e-kaba ya su-e-ku-e-butan le jaega

Aughat Shah Warsi

su-e-kaba ya su-e-ku-e-butan le jaega

Aughat Shah Warsi

MORE BYAughat Shah Warsi

    sū-e-ka.aba sū-e-kū-e-butāñ le jā.egā

    sach batā josh-e-junūñ mujh ko kahāñ le jā.egā

    jā.eñge mulk-e-adam ko dīn-o-īmāñ chhoḌ kar

    sar pe apne kaun ye bār-e-garāñ le jā.egā

    hai yaqīñ us dil ke hāthoñ jaan ek din jā.egī

    khīñch kar maqtal meñ bahr-e-imtihāñ le jā.egā

    ḳhud irāda but-kada hai na ka.aba havas

    jā.eñge vaa.iz jahāñ pīr-e-muġhāñ le jā.egā

    chhoḌ kar bismil gayā be-rahm ye samjhā na haa.e

    dil meñ armān-e-shahādat nīm-jāñ le jā.egā

    kū-e-jānāñ bhī na chhoḌā ḳhāna-vīrānī ke ba.ad

    dekhnā hai ab kahāñ ye āsmāñ le jā.egā

    aa.e the 'aughaT' jahāñ meñ Thokareñ khāne ko ham

    jā.eñge ye āb-o-dāna ab jahāñ le jā.egā

    su-e-kaba ya su-e-ku-e-butan le jaega

    sach bata josh-e-junun mujh ko kahan le jaega

    jaenge mulk-e-adam ko din-o-iman chhoD kar

    sar pe apne kaun ye bar-e-garan le jaega

    hai yaqin us dil ke hathon jaan ek din jaegi

    khinch kar maqtal mein bahr-e-imtihan le jaega

    KHud irada but-kada ka hai na kaba ki hawas

    jaenge waiz jahan pir-e-mughan le jaega

    chhoD kar bismil gaya be-rahm ye samjha na hae

    dil mein arman-e-shahadat nim-jaan le jaega

    ku-e-jaanan bhi na chhoDa KHana-virani ke baad

    dekhna hai ab kahan ye aasman le jaega

    aae the 'aughaT' jahan mein Thokaren khane ko hum

    jaenge ye aab-o-dana ab jahan le jaega

    Source :
    • Book : Faizan-e-Warsi Al-Maruf Zamzama-e-Qawwali (Pg. 13)
    • Author : Aughat Shah Warsi
    • Publication : Jayyad Barqi Press, Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now