yar ko jo dekha diwane hue
yaar ko jo dekhā dīvāne hue
pinhāñ ho kar kitne afsāne hue
rahne ko dil de do mujh ko yaar ab
munhadim sab mere kāshāne hue
ġham bhulāne hī kī ḳhātir dahr meñ
jā-ba-jā tā'mīr maiḳhāne hue
kaun aatā hai kitāboñ kī taraf
band ab saare kutub ḳhāne hue
kal talak pahchānte the duur se
aaj ham ġhurbat meñ anjāne hue
muḳhtalif haiñ rañg ġhazloñ meñ mirī
paḌh ke tum yūñhī na dīvāne hue
yar ko jo dekha diwane hue
pinhan ho kar kitne afsane hue
rahne ko dil de do mujh ko yar ab
munhadim sab mere kashane hue
gham bhulane hi ki KHatir dahr mein
ja-ba-ja ta'mir maiKHane hue
kaun aata hai kitabon ki taraf
band ab sare kutub KHane hue
kal talak pahchante the dur se
aaj hum ghurbat mein anjaane hue
muKHtalif hain rang ghazlon mein meri
paDh ke tum yunhi na diwane hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.