na hi manzil kahin dekhe na tha rasta ayan apna
na hī manzil kahīñ dekhe na thā rasta 'ayāñ apnā
kahāñ lekar chalā huuñ dekh ye TuuTā makāñ apnā
sulagtī rahguzar be-mehr mausam tishnagī dil kī
magar ye 'ishq phir bhī māntā hai kārvāñ apnā
kabhī jo āñdhiyoñ meñ bhī tirā ban kar khaḌā thā maiñ
tabhī vīrān nagrī meñ jalāyā āshiyāñ apnā
vo jis kī be-ruḳhī ne aaj mujh ko toḌ Daalā hai
usī ke naam kar aayā thā kal tak āsmāñ apnā
kafan tak noch le jaate haiñ duniyā vaale qabroñ se
sajā kar kis liye rakkhā thā ham ne ye jahāñ apnā
na aayā ḳhvāb meñ bhī vo na lauTī chiTThiyāñ us kī
ujaḌ kar rah gayā dil se vafāoñ kā jahāñ apnā
mujhe kuchh fikr thī us kī use kuchh ġham nahīñ merā
miTā kar maiñ hī baiThā thā tasallī kā nishāñ apnā
mire aañsū mirī aaheñ mirī tanhā.iyāñ dekho
kisī din lauT kar aanā yahī hai imtihāñ apnā
miTā Daalā sabhī ne par na miT paayā abhī 'amjad'
likhā rahtā hai har saf.he pe jaise ik nishāñ apnā
na hi manzil kahin dekhe na tha rasta 'ayan apna
kahan lekar chala hun dekh ye TuTa makan apna
sulagti rahguzar be-mehr mausam tishnagi dil ki
magar ye 'ishq phir bhi manta hai karwan apna
kabhi jo aandhiyon mein bhi tera ban kar khaDa tha main
tabhi viran nagri mein jalaya aashiyan apna
wo jis ki be-ruKHi ne aaj mujh ko toD Dala hai
usi ke nam kar aaya tha kal tak aasman apna
kafan tak noch le jate hain duniya wale qabron se
saja kar kis liye rakkha tha hum ne ye jahan apna
na aaya KHwab mein bhi wo na lauTi chiTThiyan us ki
ujaD kar rah gaya dil se wafaon ka jahan apna
mujhe kuchh fikr thi us ki use kuchh gham nahin mera
miTa kar main hi baiTha tha tasalli ka nishan apna
mere aansu meri aahen meri tanhaiyan dekho
kisi din lauT kar aana yahi hai imtihan apna
miTa Dala sabhi ne par na miT paya abhi 'amjad'
likha rahta hai har safhe pe jaise ek nishan apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.