KHumar-e-ishq mujhko dam-ba-dam hai
ḳhumār-e-'ishq mujh ko dam-ba-dam hai
mire saaqī kā ye lutf-o-karam hai
zarā qadmoñ pe apne dekhiye to
shikasta-dil mirā zer-e-qadam hai
na pūchho 'ishq kī duniyā meñ hai kyā
yahāñ bas karb hai hijr-o-alam hai
ye dāġh-e-dil bhī degī jaañ bhī legī
rah-e-ulfat sarāpā pur-sitam hai
basā hai dil meñ jab se vo sitamgar
fuġhāñ hai dard hai aur chashm-e-nam hai
koī jaa.e to un se laa.e dil ko
churā ke le gayā merā balam hai
na koī ham-navā nā koī hamdam
tumhārā aasrā bas ai sanam hai
brā-e-'āshiqāñ ātish harāmast
kitāb-e-'ishq meñ naql-o-raqam hai
nahīñ aa.ī abhī kāmil tabāhī
tirā koh-e-sitam hai par ye kam hai
kiyā har qaid se āzād mujh ko
janāb-e-'ishq kā rahm-o-karam hai
makān-o-dar tirī galiyāñ guzar-gāh
'asar' ke vāste ’ain-e-haram hai
KHumar-e-'ishq mujh ko dam-ba-dam hai
mere saqi ka ye lutf-o-karam hai
zara qadmon pe apne dekhiye to
shikasta-dil mera zer-e-qadam hai
na puchho 'ishq ki duniya mein hai kya
yahan bas karb hai hijr-o-alam hai
ye dagh-e-dil bhi degi jaan bhi legi
rah-e-ulfat sarapa pur-sitam hai
basa hai dil mein jab se wo sitamgar
fughan hai dard hai aur chashm-e-nam hai
koi jae to un se lae dil ko
chura ke le gaya mera balam hai
na koi ham-nawa na koi hamdam
tumhaara aasra bas ai sanam hai
bra-e-'ashiqan aatish haramast
kitab-e-'ishq mein naql-o-raqam hai
nahin aai abhi kaamil tabahi
tera koh-e-sitam hai par ye kam hai
kiya har qaid se aazad mujh ko
janab-e-'ishq ka rahm-o-karam hai
makan-o-dar teri galiyan guzar-gah
'asar' ke waste ’ain-e-haram hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.