azal ke din se baj raha hai saz-e-naghma-ha-e-ishq
azal ke din se baj raha hai saz-e-naghma-ha-e-ishq
Yadgar Shah Warsi
MORE BYYadgar Shah Warsi
azal ke din se baj rahā hai sāz-e-naġhma-hā-e-ishq
tū gosh-e-dil se sun zarā tū bhī to mudda'ā-e-ishq
ḳhudī kā ishq ma.arka ḳhudī kī fat.h ishq hai
hai ishq meñ hī bandagī hai ishq ḳhud ḳhudā-e-ishq
kahāñ nahīñ thī kab nahīñ thī jalva-rezī ishq kī
tu paḌh zarā varaq varaq kitāb-e-qissa-hā-e-ishq
fanā baqā ye hast-o-būd adm-e-vajūd kyā haiñ sab
fareb-hā-e-husn haiñ yā haiñ ye kārhā-e-ishq
rukūa hai na qiyām hai na sajda-o-salām hai
paḌheñ namāzeñ phir bhī mere dil pe mubtalā-e-ishq
ajab haiñ bul-faraibiyāñ karam sitam ko kah diyā
jafā-e-husn ko yahāñ kahā gayā atā-e-ishq
ye hāsil-e-hayāt thā vo aa.e qabr par merī
lipaT ga.e mazār se kahāñ tu ye ke hā-e-ishq
mirā vajūd bas farāz ishq se ḳhamīr hai
hai ishq mere vāste to maiñ bhī barā.e-ishq
azal ke din se baj raha hai saz-e-naghma-ha-e-ishq
tu gosh-e-dil se sun zara tu bhi to mudda'a-e-ishq
KHudi ka ishq marka KHudi ki fath ishq hai
hai ishq mein hi bandagi hai ishq KHud KHuda-e-ishq
kahan nahin thi kab nahin thi jalwa-rezi ishq ki
tu paDh zara waraq waraq kitab-e-qissa-ha-e-ishq
fana baqa ye hast-o-bud adm-e-wajud kya hain sab
fareb-ha-e-husn hain ya hain ye karha-e-ishq
rukua hai na qiyam hai na sajda-o-salam hai
paDhen namazen phir bhi mere dil pe mubtala-e-ishq
ajab hain bul-faraibiyan karam sitam ko kah diya
jafa-e-husn ko yahan kaha gaya ata-e-ishq
ye hasil-e-hayat tha wo aae qabr par meri
lipaT gae mazar se kahan tu ye ke ha-e-ishq
mera wajud bas faraaz ishq se KHamir hai
hai ishq mere waste to main bhi barae-ishq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.