dua aur na koi dawa chahta hun
duā aur na koī davā chāhtā huuñ
dil-e-ġham talab kī baqā chāhtā huuñ
taḌapne do jī bhar ke furqat meñ mujh ko
maiñ apne ka.e kī sazā chāhtā huuñ
sunā hai fanā meñ husūl-e-baqā hai
kisī kī talab meñ miTā chāhtā huuñ
parastish mirī be-niyāz-e-jazā hai
kisī ko meñ be-mudda.ā chāhtā huuñ
mujhe zindagī se nahīñ koī matlab
faqat dard-e-dil kī davā chāhtā huuñ
ba-yak jalva jis ne 'hasan' maar Daalā
vahī dilbarī kī adā chāhtā huuñ
dua aur na koi dawa chahta hun
dil-e-gham talab ki baqa chahta hun
taDapne do ji bhar ke furqat mein mujh ko
main apne kae ki saza chahta hun
suna hai fana mein husul-e-baqa hai
kisi ki talab mein miTa chahta hun
parastish meri be-niyaz-e-jaza hai
kisi ko mein be-muddaa chahta hun
mujhe zindagi se nahin koi matlab
faqat dard-e-dil ki dawa chahta hun
ba-yak jalwa jis ne 'hasan' mar Dala
wahi dilbari ki ada chahta hun
- Book : Dabistan-E-Azimabad (Pg. 86)
- Publication : Nikhar Press, Mau Nath Bhanjan (1982)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.