ye zindagi bhi ajab mashghala lage hai mujhe
ye zindagī bhī ajab mashġhala lage hai mujhe
ummīd-o-bīm kā ik silsila lage hai mujhe
sitam meñ us ke karam kā mazā lage hai mujhe
jafā kare hai vo jitnī vafā lage hai mujhe
atā kiyā hai mohabbat ne dard kā ye mizāj
kisī kā jurm ho apnī ḳhatā lage hai mujhe
galī galī meñ jo charchā usī kī hotī hai
ye dard-e-ishq burā sāneha lage hai mujhe
nazar kā merī karishma hai aur kyā kahiye
ki jis ko dekhiye vo aap sā lage hai mujhe
nishān-e-manzil-e-mahbūb kyā mile mujh ko
jo rāhzan hai vahī rahnumā lage hai mujhe
ye zindagi bhi ajab mashghala lage hai mujhe
ummid-o-bim ka ek silsila lage hai mujhe
sitam mein us ke karam ka maza lage hai mujhe
jafa kare hai wo jitni wafa lage hai mujhe
ata kiya hai mohabbat ne dard ka ye mizaj
kisi ka jurm ho apni KHata lage hai mujhe
gali gali mein jo charcha usi ki hoti hai
ye dard-e-ishq bura saneha lage hai mujhe
nazar ka meri karishma hai aur kya kahiye
ki jis ko dekhiye wo aap sa lage hai mujhe
nishan-e-manzil-e-mahbub kya mile mujh ko
jo rahzan hai wahi rahnuma lage hai mujhe
- Book : Dabistan-E-Azimabad (Pg. 80)
- Publication : Nikhar Press, Mau Nath Bhanjan (1982)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.