kya kahen hijr mein kin dil ne duaen kya kya
kyā kaheñ hijr meñ kiiñ dil ne duā.eñ kyā kyā
phir mire kaan meñ aa.ī haiñ nidā.eñ kyā kyā
zaḳhm-e-dil dāġh-e-jigar soz-e-darūñ josh-e-junūñ
dekhne gar koī aa.e to dikhā.eñ kyā kyā
dil diyā jaan dī īmān diyā izzat dī
ishq meñ un ke huiiñ ham se ḳhatā.eñ kyā kyā
bār-e-ġham bār-e-alam bār-e-sitam bār-e-firāq
bojh ab us ke sivā 'bāġh' uThā.eñ kyā kyā
kya kahen hijr mein kin dil ne duaen kya kya
phir mere kan mein aai hain nidaen kya kya
zaKHm-e-dil dagh-e-jigar soz-e-darun josh-e-junun
dekhne gar koi aae to dikhaen kya kya
dil diya jaan di iman diya izzat di
ishq mein un ke huin hum se KHataen kya kya
bar-e-gham bar-e-alam bar-e-sitam bar-e-firaq
bojh ab us ke siwa 'bagh' uThaen kya kya
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 81)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.