agar dast-e-junon maruf-e-ehsan aur ho jata
agar dast-e-junoñ ma.arūf-e-ehsāñ aur ho jaatā
vqār-e-dāman-e-jaib-o-garebāñ aur ho jaatā
jo masjid se nikal kar aap sū-e-mai-kada aate
janāb-e-shaiḳh lutf-e-dīn-o-īmāñ aur ho jaatā
Tapaktā shām-e-furqat saath ashkoñ ke lahū dil kā
ye ehsāñ terā mujh par chashm-e-giryāñ aur ho jaatā
kamī kyuuñ kī bahut nazdīk thī manzil garebāñ kī
rasā kambaḳht apnā dast-e-imkāñ aur ho jaatā
bayābān-e-mohabbat meñ na hotī kashmakash itnī
agar ābād dīvānoñ se zindāñ aur ho jaatā
rag-e-gardan agar 'mas.ūd' teġh-e-kund se kaTtī
mire qātil kā mujh par bār-e-ehsāñ aur ho jaatā
agar dast-e-junon maruf-e-ehsan aur ho jata
wqar-e-daman-e-jaib-o-gareban aur ho jata
jo masjid se nikal kar aap su-e-mai-kada aate
janab-e-shaiKH lutf-e-din-o-iman aur ho jata
Tapakta sham-e-furqat sath ashkon ke lahu dil ka
ye ehsan tera mujh par chashm-e-giryan aur ho jata
kami kyun ki bahut nazdik thi manzil gareban ki
rasa kambaKHt apna dast-e-imkan aur ho jata
bayaban-e-mohabbat mein na hoti kashmakash itni
agar aabaad diwanon se zindan aur ho jata
rag-e-gardan agar 'masud' tegh-e-kund se kaTti
mere qatil ka mujh par bar-e-ehsan aur ho jata
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 286)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.