Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

kahan ki chaal nikali hai ye kahan ki tarah

Masood Lakhimpuri

kahan ki chaal nikali hai ye kahan ki tarah

Masood Lakhimpuri

kahāñ chaal nikālī hai ye kahāñ tarah

zamīñ pe chalne lage log āsmāñ tarah

tumhīñ batāo ki tāsīr us meñ kyā hogī

jo tum sunoge mirā haal dāstāñ tarah

shab-e-visāl bayāñ kyā kareñ shab-e-hijrāñ

vo dard-e-dil ko bhī sunte haiñ dāstāñ tarah

har ek baat mirī kaaT dam-e-taqdīr

chale na teġh bhī zālim tirī zabāñ tarah

falak vo chaal bhī ab chal ki ho mujhe taskīn

ujaaḌ ḳhāna sayyād āshiyāñ tarah

ḳhudā jaane ki rindoñ ne kyā kahā 'mas.ūd'

janāb-e-shaiḳh ne faryād azaañ tarah

kahan ki chaal nikali hai ye kahan ki tarah

zamin pe chalne lage log aasman ki tarah

tumhin batao ki tasir us mein kya hogi

jo tum sunoge mera haal dastan ki tarah

shab-e-visal bayan kya karen shab-e-hijran

wo dard-e-dil ko bhi sunte hain dastan ki tarah

har ek baat meri kaT di dam-e-taqdir

chale na tegh bhi zalim teri zaban ki tarah

falak wo chaal bhi ab chal ki ho mujhe taskin

ujaD KHana sayyaad aashiyan ki tarah

KHuda hi jaane ki rindon ne kya kaha 'masud'

janab-e-shaiKH ne faryaad ki azan ki tarah

Source :
  • Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 287)
  • Author : Irfan Abbasi
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now