numayan KHana-bardari ke saman hote jate hain
numāyāñ ḳhāna-bardārī ke sāmāñ hote jaate haiñ
ujaḌte haiñ makāñ ābād zindāñ hote jaate haiñ
bahut kaam aa rahā hai imtidād-e-ahd-e-dushvārī
ki jitne kaam mushkil the sab āsāñ hote jaate haiñ
hazāroñ paikar ummīd nazroñ se hue ojhal
jo kuchh baaqī rahe the vo bhī pinhāñ hote jaate haiñ
udhar tahsīl uqbā kī tamannā hai mire dil meñ
udhar duniyā se lākhoñ ahd-o-paimāñ hote jaate haiñ
nigāh-e-yās ne duniyā badal dī ārzūoñ kī
numāyāñ ḳhud-baḳhud sab raaz pinhāñ hote jaate haiñ
ye kis andāz se kis shaan se daur-e-bahār aayā
ki dāman chaak ho-ho kar garebāñ hote jaate haiñ
nazar aatī haiñ lākhoñ hasrateñ madfūn har jānib
dil-e-ushshāq ab ganj-e-shahīdāñ hote jaate haiñ
dikhāyā hai asar 'mas.ūd' ab merī vafāoñ ne
jafā se dil meñ vo kuchh kuchh pashemāñ hote jaate haiñ
numayan KHana-bardari ke saman hote jate hain
ujaDte hain makan aabaad zindan hote jate hain
bahut kaam aa raha hai imtidad-e-ahd-e-dushwari
ki jitne kaam mushkil the sab aasan hote jate hain
hazaron paikar ummid nazron se hue ojhal
jo kuchh baqi rahe the wo bhi pinhan hote jate hain
udhar tahsil uqba ki tamanna hai mere dil mein
udhar duniya se lakhon ahd-o-paiman hote jate hain
nigah-e-yas ne duniya badal di aarzuon ki
numayan KHud-baKHud sab raaz pinhan hote jate hain
ye kis andaz se kis shan se daur-e-bahaar aaya
ki daman chaak ho-ho kar gareban hote jate hain
nazar aati hain lakhon hasraten madfun har jaanib
dil-e-ushshaq ab ganj-e-shahidan hote jate hain
dikhaya hai asar 'masud' ab meri wafaon ne
jafa se dil mein wo kuchh kuchh pasheman hote jate hain
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 287)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.