ham-nafas sayyaad jis din mehrban ho jayga
ham-nafas sayyād jis din mehrbāñ ho jāygā
dekh lenā ye qafas bhī āshiyāñ ho jāygā
kyā zarūrat hai ki maiñ apnī zabāñ se kuchh kahūñ
ġhair kā merā kisī din imtihāñ ho jāygā
jabha-sā.ī tere dar kī maiñ karūñgā sub.h-o-shām
ka.aba maqsūd terā āstāñ ho jāygā
tum ko dikhlā deñge gar badlī zamāne kī havā
ġhair kā qissa hamārī dāstāñ ho jāygā
un se chhiḌ jā.eñgī bāteñ rañj kī shām-e-visāl
kyā ḳhabar thī dushman-e-jāñ āsmāñ ho jā.egā
chāhiye 'mas.ūd' kuchh zād-e-safar kī fikr bhī
chand hī din meñ ravāna kārvāñ ho jā.egā
ham-nafas sayyaad jis din mehrban ho jayga
dekh lena ye qafas bhi aashiyan ho jayga
kya zarurat hai ki main apni zaban se kuchh kahun
ghair ka mera kisi din imtihan ho jayga
jabha-sai tere dar ki main karunga subh-o-sham
kaba maqsud tera aastan ho jayga
tum ko dikhla denge gar badli zamane ki hawa
ghair ka qissa hamari dastan ho jayga
un se chhiD jaengi baaten ranj ki sham-e-visal
kya KHabar thi dushman-e-jaan aasman ho jaega
chahiye 'masud' kuchh zad-e-safar ki fikr bhi
chand hi din mein rawana karwan ho jaega
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 287)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.