baDh kar jabin ko chum liya shahsawar ki
baḌh kar jabīñ ko chuum liyā shahsavār kī
himmat pe āfrīñ mire musht-e-ġhubār kī
kholī girah jo gesū-e-ambar nisār kī
kaalī ghaTā ne baḌh ke ḳhabar dī bahār kī
kab se taḌap rahā huuñ maiñ roz-e-firāq meñ
kab se jalā rahī hai ḳhalish intizār kī
rokeñgī kab talak mujhe paañv kī beḌiyāñ
rah rah ke khīñchtī hai kashish kū-e-yār kī
soz-e-darūñ se phuñktā hai dīvāna aap kā
jaltā hai apnī aag meñ parvāna aap kā
kis be-adab ne chhū liyā paimāna aap kā
TuuTī surāhī hil gayā mai-ḳhāna aap kā
rusvā kahīñ na ho dil-e-dīvāna aap kā
'maz.har' chhalakne paa.e na paimāna aap kā
baDh kar jabin ko chum liya shahsawar ki
himmat pe aafrin mere musht-e-ghubar ki
kholi girah jo gesu-e-ambar nisar ki
kali ghaTa ne baDh ke KHabar di bahaar ki
kab se taDap raha hun main roz-e-firaq mein
kab se jala rahi hai KHalish intizar ki
rokengi kab talak mujhe panw ki beDiyan
rah rah ke khinchti hai kashish ku-e-yar ki
soz-e-darun se phunkta hai diwana aap ka
jalta hai apni aag mein parwana aap ka
kis be-adab ne chhu liya paimana aap ka
TuTi surahi hil gaya mai-KHana aap ka
ruswa kahin na ho dil-e-diwana aap ka
'mazhar' chhalakne pae na paimana aap ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.