chhupa hua dil mahzun mein raaz rahne de
''chhupā huā dil mahzūñ meñ raaz rahne de
na chheḌ ai nigah-e-fitna-sāz rahne de
kahīñ na hadd-e-navāzish se shauq-e-dil baḌh jaa.e
haiñ jis ḳhayāl meñ ahl-e-niyāz rahne de
qazā-e-ishq meñ gum-gashta-e-tahayyur ho
shi.ār-e-ishq ko be-imtiyāz rahne de
ye dard dard-e-mohabbat hai tujh ko kyā ma.alūm
ye zindagī hai mirī chārasāz rahne de
chhupa hua dil mahzun mein raaz rahne de
na chheD ai nigah-e-fitna-saz rahne de
kahin na hadd-e-nawazish se shauq-e-dil baDh jae
hain jis KHayal mein ahl-e-niyaz rahne de
qaza-e-ishq mein gum-gashta-e-tahayyur ho
shiar-e-ishq ko be-imtiyaz rahne de
ye dard dard-e-mohabbat hai tujh ko kya malum
ye zindagi hai meri chaarasaz rahne de
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.XI (Pg. 323)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.