wajd ke aalam mein har zarre ko raqsan dekhiye
wajd ke aalam mein har zarre ko raqsan dekhiye
Hadi Machhli Shahri
MORE BYHadi Machhli Shahri
vajd ke a.alam meñ har zarre ko raqsāñ dekhiye
kis ne chheḌā sāz-e-dil pur-naġhma-e-jāñ dekhiye
fasl-e-gul meñ kaun hai josh-e-junūñ se be-ḳhabar
kis kā dāman dekhiye kis kā garebāñ dekhiye
ek ruḳh ka.aba hai us kā dūsrā hai but-kada
ek hī dil ko batā.e kufr-o-īmāñ dekhiye
do ghaḌī kī zindagī ko maiñ ne samjhā hai hayāt
merī hairānī mirā ḳhvāb-e-pareshāñ dekhiye
e'tibār jazba-e-dil yā ġham-e-afsurdagī
kaun hotā hai shab-e-furqat meñ pursāñ dekhiye
shaad kām-e-zindagī honā koī āsāñ nahīñ
phuul kā khilnā ye aurāq-e-pareshāñ dekhiye
husn hī jab ḳhud-numā ho kyā chhupā.egā hijāb
sham.a ko fānūs ke parde meñ uryāñ dekhiye
thiiñ mire zauq-e-asīrī tak mirī pābandiyāñ
girtī hai ik aah meñ dīvār-e-zindāñ dekhiye
e'timād shauq meñ sub.h-e-vatan se kam nahii.
merī āñkhoñ se mirī shām-e-ġharībāñ dekhiye
maut kī bigḌī sī ik sūrat hai 'hādī' zindagī
raat din kab tak yahī ḳhvāb-e-pareshāñ dekhiye
wajd ke aalam mein har zarre ko raqsan dekhiye
kis ne chheDa saz-e-dil pur-naghma-e-jaan dekhiye
fasl-e-gul mein kaun hai josh-e-junun se be-KHabar
kis ka daman dekhiye kis ka gareban dekhiye
ek ruKH kaba hai us ka dusra hai but-kada
ek hi dil ko batae kufr-o-iman dekhiye
do ghaDi ki zindagi ko main ne samjha hai hayat
meri hairani mera KHwab-e-pareshan dekhiye
e'tibar jazba-e-dil ya gham-e-afsurdagi
kaun hota hai shab-e-furqat mein pursan dekhiye
shad kaam-e-zindagi hona koi aasan nahin
phul ka khilna ye auraq-e-pareshan dekhiye
husn hi jab KHud-numa ho kya chhupaega hijab
shama ko fanus ke parde mein uryan dekhiye
thin mere zauq-e-asiri tak meri pabandiyan
girti hai ek aah mein diwar-e-zindan dekhiye
e'timad shauq mein subh-e-watan se kam nahi
meri aankhon se meri sham-e-ghariban dekhiye
maut ki bigDi si ek surat hai 'hadi' zindagi
raat din kab tak yahi KHwab-e-pareshan dekhiye
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.XI (Pg. 323)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.