mujhe kyun mana karte hain fughan se
mujhe kyuuñ man.a karte haiñ fuġhāñ se
zarā badla to le luuñ āsmāñ se
ilāhī sharh-e-ġham kī sharm rah jaa.e
nazar aate haiñ vo kuchh bad-gumāñ se
nahīñ ma.alūm kyā vo mujh se pūchheñ
nahīñ ma.alūm kyā nikle zabāñ se
mire dil ke havāle ho gayā sab
jo bār-e-ġham na uThā āsmāñ se
mirī pāmāliyoñ kā raaz ākhir
huā ifshā ġhubār-e-kārvāñ se
sarāpā dard huuñ mujh se na pūchho
kahūñ kyā dard uThā hai kahāñ se
dil par zaḳhm kī hālat na pūchho
lahū Tapkegā harf-e-dāstāñ se
vahī ib.hām-e-matlab aaj tak hai
na niklā kaam kuchh sharh-e-bayāñ se
razā-e-dost kā ḳhūgar huuñ 'hādī'
mujhe kyā vāsta sūd-o-ziyāñ se
mujhe kyun mana karte hain fughan se
zara badla to le lun aasman se
ilahi sharh-e-gham ki sharm rah jae
nazar aate hain wo kuchh bad-guman se
nahin malum kya wo mujh se puchhen
nahin malum kya nikle zaban se
mere dil ke hawale ho gaya sab
jo bar-e-gham na uTha aasman se
meri pamaliyon ka raaz aakhir
hua ifsha ghubar-e-karwan se
sarapa dard hun mujh se na puchho
kahun kya dard uTha hai kahan se
dil par zaKHm ki haalat na puchho
lahu Tapkega harf-e-dastan se
wahi ibham-e-matlab aaj tak hai
na nikla kaam kuchh sharh-e-bayan se
raza-e-dost ka KHugar hun 'hadi'
mujhe kya wasta sud-o-ziyan se
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.XI (Pg. 323)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.