parde parde mein ye kaisi jalwa-arai hui
parde parde meñ ye kaisī jalva-ārā.ī huī
husn-e-nā-dīda kī ik duniyā tamāshā.ī huī
zarre zarre par jahāñ ke hai vahī chhā.ī huī
aitbār-e-husn-e-kasrat shān-e-yaktā.ī huī
hairat-e-jalva meñ paḌ kar kho ga.ī har aarzū
dushman-e-jān-e-tamannā terī ra.anā.ī huī
jāntā huuñ ḳhuub meñ bāġh-e-tamannā kī bahār
jo kalī aa.ī nazar us meñ vo murjhā.ī huī
kyā batā.ūñ kyā huā anjām zabt-e-shauq kā
dil kī saarī aarzū sirf shakebā.ī huī
kār-farmā husn thā yā ishq kā thā ye qusūr
merī rusvā.ī huī yā terī rusvā.ī huī
haaye vo rañg-e-shikasta jo banā ġhammāz-e-ishq
aah vo hasrat jo dil meñ rah ke rusvā.ī huī
kyā dikhā.ūñ dil kisī ko dil meñ kuchh hālat bhī ho
ik kalī bāġh-e-vafā kī vo bhī murjhā.ī huī
ik nigāh-e-mast saaqī ne kiyā haadī ḳharāb
umr bhar kī tauba sirf bāda-paimā.ī huī
parde parde mein ye kaisi jalwa-arai hui
husn-e-na-dida ki ek duniya tamashai hui
zarre zarre par jahan ke hai wahi chhai hui
aitbar-e-husn-e-kasrat shan-e-yaktai hui
hairat-e-jalwa mein paD kar kho gai har aarzu
dushman-e-jaan-e-tamanna teri ranai hui
jaanta hun KHub mein bagh-e-tamanna ki bahaar
jo kali aai nazar us mein wo murjhai hui
kya bataun kya hua anjam zabt-e-shauq ka
dil ki sari aarzu sirf shakebai hui
kar-farma husn tha ya ishq ka tha ye qusur
meri ruswai hui ya teri ruswai hui
haye wo rang-e-shikasta jo bana ghammaz-e-ishq
aah wo hasrat jo dil mein rah ke ruswai hui
kya dikhaun dil kisi ko dil mein kuchh haalat bhi ho
ek kali bagh-e-wafa ki wo bhi murjhai hui
ek nigah-e-mast saqi ne kiya hadi KHarab
umr bhar ki tauba sirf baada-paimai hui
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.XI (Pg. 323)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.