ashk aankhon mein fughan honTon pe hasrat dil mein hai
ashk aankhon mein fughan honTon pe hasrat dil mein hai
Hadi Machhli Shahri
MORE BYHadi Machhli Shahri
ashk āñkhoñ meñ fuġhāñ hoñToñ pe hasrat dil meñ hai
ik na.ī sūrat se zāhir ishq har manzil meñ hai
kis tarah mujh ko nigāh-e-lutf kā ho e'tibār
us ko bhī meñ jāntā huuñ jo tumhāre dil meñ hai
ittehād-e-shauq paidā kar rahā hai rasm-o-rāh
hai vahī un kī nigāhoñ meñ jo mere dil meñ hai
bas ki va.ada us kā hai mashrūt rañj-e-intizār
ek girdāb-e-balā bhī dāman-e-sāhil meñ hai
mujh ko be-dil kyuuñ nahīñ kartīñ mirī mahrūmiyāñ
kyā fareb-e-mudda.ā bhī sa.ī-e-lā-hāsil meñ hai
phir bahāna us ke tīr-e-nāz ko mil jā.egā
phir na kah denā kahīñ 'hādī' mohabbat dil meñ hai
ashk aankhon mein fughan honTon pe hasrat dil mein hai
ek nai surat se zahir ishq har manzil mein hai
kis tarah mujh ko nigah-e-lutf ka ho e'tibar
us ko bhi mein jaanta hun jo tumhaare dil mein hai
ittehad-e-shauq paida kar raha hai rasm-o-rah
hai wahi un ki nigahon mein jo mere dil mein hai
bas ki wada us ka hai mashrut ranj-e-intizar
ek girdab-e-bala bhi daman-e-sahil mein hai
mujh ko be-dil kyun nahin kartin meri mahrumiyan
kya fareb-e-muddaa bhi sai-e-la-hasil mein hai
phir bahana us ke tir-e-naz ko mil jaega
phir na kah dena kahin 'hadi' mohabbat dil mein hai
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.XI (Pg. 324)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.