kahne ko to kya kuchh tere jalwon mein nahin hai
kahne ko to kya kuchh tere jalwon mein nahin hai
Hadi Machhli Shahri
MORE BYHadi Machhli Shahri
kahne ko to kyā kuchh tere jalvoñ meñ nahīñ hai
be-dard batā merī tamannā bhī kahīñ hai
itnā to samajhtā huuñ ki sajde meñ jabīñ hai
aisā to nahīñ manzil-e-maqsūd yahīñ hai
sajde ke liye kyuuñ merī betāb jabīñ hai
ab tere tasavvur meñ na duniyā hai na diiñ hai
ik jalva-e-rañgīñ ke sivā kuchh bhī nahīñ hai
nādīda-nigāhoñ ko ye duniyā hai vo diiñ hai
har zarre meñ hone kā tire mujh ko yaqīñ hai
duniyā se tū nihāñ hai magar mujh se nahii. hai
tū DhūñD rahā hai haram-o-dair meñ jis ko
zāhid mire TuuTe hue dil meñ vo makīñ hai
allāh re is dīda-e-hairāñ kī musībat
jis ne tujhe dekhā bhī hai dekhā bhī nahīñ hai
itnī bhī na māyūs shab-e-ġham ho kisī kī
marnā bhī mayassar nahīñ jis kā ki yaqīñ hai
kuchh manzileñ ye bhī rah-e-irfāñ meñ thiiñ shāyad
ab dil ko ḳhayāl haram-o-dair nahii. hai
haañ bandagī-e-shauq ke jauhar na miTeñge
har zarre meñ pinhāñ mirī tasvīr-e-jabīñ hai
ye rabt ki be tere nahīñ mujh ko zarā chain
ye zabt ki goyā mujhe ulfat bhī nahīñ hai
ye ba.ad ki hastī tirī ab tak na meñ samjhā
ye qurb ki haa.el rag-e-gardan bhī nahii. hai
fitrat kabhī va.ada-e-shiknī kī bhī hai badlī
tum pūchhte ho mujh se to kahtā huuñ yaqīñ hai
vo pūchhte haiñ mujh se maiñ kyā un ko batā.ūñ
goyā mirī ummīd kī sūrat hī nahīñ hai
sajdoñ kī mire sharm hai allāh tire haath
har zarra zarra us kā talab-gār nahīñ hai
vārastagī-e-dil kā ho kyuuñ kar mujhe da.ava
kis tarah kahūñ terī tamannā bhī nahīñ hai
paivast hai rag rag meñ mirī terī tamannā
tū haath jahāñ rakh de terā dard vahīñ hai
ma.alūm nahīñ ab bhī hijābāt haiñ kitne
'hādī' tujhe kyā jalva-e-jānāñ ko yaqīñ hai
kahne ko to kya kuchh tere jalwon mein nahin hai
be-dard bata meri tamanna bhi kahin hai
itna to samajhta hun ki sajde mein jabin hai
aisa to nahin manzil-e-maqsud yahin hai
sajde ke liye kyun meri betab jabin hai
ab tere tasawwur mein na duniya hai na din hai
ek jalwa-e-rangin ke siwa kuchh bhi nahin hai
nadida-nigahon ko ye duniya hai wo din hai
har zarre mein hone ka tere mujh ko yaqin hai
duniya se tu nihan hai magar mujh se nahi hai
tu DhunD raha hai haram-o-dair mein jis ko
zahid mere TuTe hue dil mein wo makin hai
allah re is dida-e-hairan ki musibat
jis ne tujhe dekha bhi hai dekha bhi nahin hai
itni bhi na mayus shab-e-gham ho kisi ki
marna bhi mayassar nahin jis ka ki yaqin hai
kuchh manzilen ye bhi rah-e-irfan mein thin shayad
ab dil ko KHayal haram-o-dair nahi hai
han bandagi-e-shauq ke jauhar na miTenge
har zarre mein pinhan meri taswir-e-jabin hai
ye rabt ki be tere nahin mujh ko zara chain
ye zabt ki goya mujhe ulfat bhi nahin hai
ye baad ki hasti teri ab tak na mein samjha
ye qurb ki hael rag-e-gardan bhi nahi hai
fitrat kabhi wada-e-shikni ki bhi hai badli
tum puchhte ho mujh se to kahta hun yaqin hai
wo puchhte hain mujh se main kya un ko bataun
goya meri ummid ki surat hi nahin hai
sajdon ki mere sharm hai allah tere hath
har zarra zarra us ka talab-gar nahin hai
warastagi-e-dil ka ho kyun kar mujhe dawa
kis tarah kahun teri tamanna bhi nahin hai
paiwast hai rag rag mein meri teri tamanna
tu hath jahan rakh de tera dard wahin hai
malum nahin ab bhi hijabaat hain kitne
'hadi' tujhe kya jalwa-e-jaanan ko yaqin hai
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.XI (Pg. 325)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.