iztirab-e-shauq ki hangama-arai na puchh
iztirāb-e-shauq kī hañgāma-ārā.ī na pūchh
rañg laa.ī hai jo merī nā-shakī-bā.ī na pūchh
ho ga.ī pā-e-talab ko ab to tujh se rasm-o-rāh
merī manzil hai kahāñ ai shauq-e-sehrā.ī na pūchh
husn ko raunaq diye jaanā ba-hadd-e-tamkanat
mere dil kā haal ai rasm-e-ḳhud-ārā.ī na pūchh
kab Thahar saktā thā is rū meñ bhalā pā-e-sabāt
pahle thā meñ kis jagah ai chashm-e-dariyā.ī na pūchh
sabr aatā hai na qaabū hai dil-e-betāb par
aaj kis mushkil meñ hai terā tamannā.ī na pūchh
kaun lamha us kā thā hañgāma-e-mahshar se kam
vāqi.āt-e-iztirāb shām-e-tanhā.ī na pūchh
karle andāzā ḳhud apne dīda-hā-e-mast se
mujh se saaqī merā zauq-e-bāda-paimā.ī na pūchh
ab nahīñ tere tasavvur ko bhī kuchh mujh se lagāo
jis kī duniyā ho añdherī us kī tanhā.ī na pūchh
hai ajab pur-lutf husn-o-ishq kā ye ma.arka
kis qadr dil-kash hai 'hādī' shān-e-rusvā.ī na pūchh
iztirab-e-shauq ki hangama-arai na puchh
rang lai hai jo meri na-shaki-bai na puchh
ho gai pa-e-talab ko ab to tujh se rasm-o-rah
meri manzil hai kahan ai shauq-e-sehrai na puchh
husn ko raunaq diye jaana ba-hadd-e-tamkanat
mere dil ka haal ai rasm-e-KHud-arai na puchh
kab Thahar sakta tha is ru mein bhala pa-e-sabaat
pahle tha mein kis jagah ai chashm-e-dariyai na puchh
sabr aata hai na qabu hai dil-e-betab par
aaj kis mushkil mein hai tera tamannai na puchh
kaun lamha us ka tha hangama-e-mahshar se kam
waqiat-e-iztirab sham-e-tanhai na puchh
karle andaza KHud apne dida-ha-e-mast se
mujh se saqi mera zauq-e-baada-paimai na puchh
ab nahin tere tasawwur ko bhi kuchh mujh se lagao
jis ki duniya ho andheri us ki tanhai na puchh
hai ajab pur-lutf husn-o-ishq ka ye marka
kis qadr dil-kash hai 'hadi' shan-e-ruswai na puchh
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.XI (Pg. 327)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.