pasti mein hain zamin ke unche makan wale
pastī meñ haiñ zamīñ ke ūñche makān vaale
kyā be-nishāñ hue haiñ nām-o-nishān vaale
nazzāra us ke ruḳh kā karte haiñ mehr-o-mah bhī
din-rāt dekhte haiñ muñh āsmān vaale
allāh hai jo puurī ummīd qatl kī ho
vo sāheb-e-nazākat ham saḳht jaan vaale
ham se mizāj-e-ālī ai huur kyuuñ milegā
ahl-e-zamīn haiñ ham tum āsmān vaale
aate haiñ yaad mujh ko 'qābil' amiir ahmad
hote kahāñ haiñ aise achchhī zabān vaale
pasti mein hain zamin ke unche makan wale
kya be-nishan hue hain nam-o-nishan wale
nazzara us ke ruKH ka karte hain mehr-o-mah bhi
din-raat dekhte hain munh aasman wale
allah hai jo puri ummid qatl ki ho
wo saheb-e-nazakat hum saKHt jaan wale
hum se mizaj-e-ali ai hur kyun milega
ahl-e-zamin hain hum tum aasman wale
aate hain yaad mujh ko 'qabil' amir ahmad
hote kahan hain aise achchhi zaban wale
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 240)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.