jab KHudi ahadiyat ne dur kiya
jab ḳhudī ahadiyat ne duur kiyā
nūr-e-vahdat ne tab zuhūr kiyā
naar ko dekh gir paḌe muusā
azm jis dam ki koh-e-tūr kiyā
jab nazar aayā vo mire dil meñ
dil-e-nāchīz ne ġhurūr kiyā
ā.īna-e-dil ko saaf kar dekhā
us meñ aslan nahīñ qusūr kiyā
vo jo aayā nazar nahīñ dil meñ
shīsha-e-dil ko maiñ ne chuur kiyā
sirr-e-bātin se kab ho vo āgāh
jis ne jubba pahan ke zor kiyā
ḳhvāb-e-ġhaflat se jaag ai 'fānī'
haq ne ab hukm-e-nafaḳh-e-sūr kiyā
jab KHudi ahadiyat ne dur kiya
nur-e-wahdat ne tab zuhur kiya
nar ko dekh gir paDe musa
azm jis dam ki koh-e-tur kiya
jab nazar aaya wo mere dil mein
dil-e-nachiz ne ghurur kiya
aaina-e-dil ko saf kar dekha
us mein aslan nahin qusur kiya
wo jo aaya nazar nahin dil mein
shisha-e-dil ko main ne chur kiya
sirr-e-baatin se kab ho wo aagah
jis ne jubba pahan ke zor kiya
KHwab-e-ghaflat se jag ai 'fani'
haq ne ab hukm-e-nafaKH-e-sur kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.