khol aankh apnī dekh ayan haq ka nur hai
khol aañkh apnī dekh ayaañ haq kā nuur hai
har barg va har shajar meñ usī kā zuhūr hai
jis jā pā nūr-e-haq kā hove tum pe jalva-gar
samjhūñ maiñ us zamīñ ko vahī koh-e-tūr hai
sājid uThā qadam nahīñ jā-e-qayām hai
apnā maqām jo hai vo manzil to duur hai
maḳhlūq tū huā hai faqīrī ke vāste
be-fā.eda havas tujhe māl-e-vufūr hai
jitnā mile jahāñ meñ qanā.at usī pe kar
kar tark-e-hirs-o-āz gar ahl-e-shu.ūr hai
'fānī' qarīb-e-maut hai rah yād-e-haq meñ tū
ye dam to vāpsīñ hai kal nafaḳh-e-sūr hai
khol aankh apnī dekh ayan haq ka nur hai
har barg wa har shajar mein usi ka zuhur hai
jis ja pa nur-e-haq ka howe tum pe jalwa-gar
samjhun main us zamin ko wahi koh-e-tur hai
sajid uTha qadam nahin ja-e-qayam hai
apna maqam jo hai wo manzil to dur hai
maKHluq tu hua hai faqiri ke waste
be-faeda hawas tujhe mal-e-wufur hai
jitna mile jahan mein qanaat usi pe kar
kar tark-e-hirs-o-az gar ahl-e-shuur hai
'fani' qarib-e-maut hai rah yaad-e-haq mein tu
ye dam to wapsin hai kal nafaKH-e-sur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.