gar pas tu na ho to teri justuju karen
gar paas tū na ho to terī justujū kareñ
ham dekhte raheñ tujhe jis samt rū kareñ
sajda ho tare dar pe marā us ghaḌī qubūl
ro ro ke apne ashk se jis dam vuzū kareñ
sharminda huuñ gunāh se apne maiñ is qadar
kyā chashm-e-pur-gunah ko terī dū-badū kareñ
banda qusūr-vār hai ḳhāliq marā ġhafūr
ab ḳhauf dal meñ bhalā ham kabhū kareñ
kār-e-majāz mujh pe huā is qadar buland
ḳhirqa ko chaak kar ke kyā hā-o-hū kareñ
'fānī' ko tū dikhā.iyo apnā jamāl-e-pāk
jis dam ba-roz-e-hashr tire rū-ba-rū kareñ
gar pas tu na ho to teri justuju karen
hum dekhte rahen tujhe jis samt ru karen
sajda ho tare dar pe mara us ghaDi qubul
ro ro ke apne ashk se jis dam wuzu karen
sharminda hun gunah se apne main is qadar
kya chashm-e-pur-gunah ko teri du-badu karen
banda qusur-war hai KHaliq mara ghafur
ab KHauf dal mein bhala hum kabhu karen
kar-e-majaz mujh pe hua is qadar buland
KHirqa ko chaak kar ke kya ha-o-hu karen
'fani' ko tu dikhaiyo apna jamal-e-pak
jis dam ba-roz-e-hashr tere ru-ba-ru karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.