tū ne jo kuchh ki kiyā mere dil-e-zār ke sath

tū ne jo kuchh ki kiyā mere dil-e-zār ke sath
Meer Muhammad Bedar
MORE BYMeer Muhammad Bedar
tū ne jo kuchh ki kiyā mere dil-e-zār ke saath
aag ne bhī na kiyā vo to ḳhas-o-ḳhār ke saath
aañkh uThā kar bhī na dekhā kabhī tū ne zālim
sar paTak mar ga.e lākhoñ tirī dīvār ke saath
ye ka.ī taar haiñ vo rishta-e-jāñ hai yaksar
ġhalat us zulf kī tashbīh hai zunnār ke saath
raat din rahtī hai juuñ dīda-e-tasvīr khulī
aañkh jab se lagī us ā.ina-ruḳhsār ke saath
dekhiyo gir na paḌe diijo use ai qāsid
dil-e-betāb lipaTtā hai maiñ tūmār ke saath
kyā ajab ye hai ki vo mujh se milā rahtā hai
gul ko paivastagī lāzim hai ki ho ḳhaar ke saath
hai sazā-vār agar aise ko diije dil-o-dīñ
ham bhī dekhā use kal duur se 'bedār' ke saath
tū ne jo kuchh ki kiyā mere dil-e-zār ke sath
aag ne bhī na kiyā wo to ḳhas-o-ḳhār ke sath
aañkh uThā kar bhī na dekhā kabhī tū ne zālim
sar paTak mar gae lākhoñ tirī dīwār ke sath
ye kaī tar haiñ wo rishta-e-jāñ hai yaksar
ġhalat us zulf kī tashbīh hai zunnār ke sath
raat din rahtī hai juñ dīda-e-taswīr khulī
aañkh jab se lagī us āina-ruḳhsār ke sath
dekhiyo gir na paḌe dijo use ai qāsid
dil-e-betāb lipaTtā hai maiñ tūmār ke sath
kyā ajab ye hai ki wo mujh se milā rahtā hai
gul ko paiwastagī lāzim hai ki ho ḳhaar ke sath
hai sazā-wār agar aise ko dije dil-o-dīñ
hum bhī dekhā use kal dur se 'bedār' ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.