tab-e-didar jo lae mujhe wo dil dena
tāb-e-dīdār jo laa.e mujhe vo dil denā
muñh qayāmat meñ dikhā sakne ke qābil denā
pā.ūñ yārab mujhe tāj-e-sar-e-manzil denā
haath bhī gardan-e-maqsad meñ hamā.il denā
ġhair-e-zāhir na mazāhir kī haqīqat samjhūñ
itnī tam.īz miyān-e-haq-o-bātil denā
zauq meñ sūrat-e-mauj aa ke fanā ho jā.ūñ
koī bosa to bhalā ai lab-e-sāhil denā
rashk-e-ḳhurshīd-e-jahāñ-tāb diyā dil mujh ko
koī dilbar bhī usī dal ke muqābil denā
asl-e-fitna hai qayāmat meñ bahār-e-firdaus
juz tire kuchh bhī na chāhe mujhe vo dil denā
terī ulfat meñ usī tarh rahūñ maiñ behāl
haal denā ho agar rahm ke qābil denā
haaye re haaye tirī uqda-kushā.ī ke maze
tū hī khole jise vo uqda-e-mushkil denā
ḳhūñ-fishānī ho mirī ā.ina-rū-e-fanā
donoñ āñkhoñ ko rag-e-gardan-e-bismil denā
nā-tavānī meñ sahāre ko hai ye hī kaafī
dāman-e-lutf ġhubār-e-pas-e-mahmil denā
sar-e-dushman se kahīñ aag bhaḌakte dekhī
sham.a saañ mujh ko sar-afrāzī-e-mahfil denā
tohmat-e-dil-dehī-e-ġhair-e-havas-kesh ġhalat
aap ma.ashūq haiñ kyā jāneñ bhalā dil denā
naqd-e-jān-o-dil idhar daulat-e-dīdār udhar
un ko lenā bahut āsān hai mushkil denā
rah ke āġhosh meñ ai bahr-e-karam āshiq ko
qismat-e-soḳhta-e-sabza-e-sāhil denā
tañgī-e-ġhuncha-e-pazmurda ho sahrā-e-vasī.a
is qadar kulfat-e-afsurdagī-e-dil denā
va.ada karne se bhī tañgī-e-dahan ne rokā
bosa kaisā ki zabān un ko hai mushkil denā
dard kā koī mahal hī nahīñ jab dil ke sivā
mujh ko har uzv ke badle hama-tan dil denā
'āsī'-e-zār meñ kuchh zo.af se hālat na rahī
dard denā ho to bardāsht ke qābil denā
tab-e-didar jo lae mujhe wo dil dena
munh qayamat mein dikha sakne ke qabil dena
paun yarab mujhe taj-e-sar-e-manzil dena
hath bhi gardan-e-maqsad mein hamail dena
ghair-e-zahir na mazahir ki haqiqat samjhun
itni tamiz miyan-e-haq-o-baatil dena
zauq mein surat-e-mauj aa ke fana ho jaun
koi bosa to bhala ai lab-e-sahil dena
rashk-e-KHurshid-e-jahan-tab diya dil mujh ko
koi dilbar bhi usi dal ke muqabil dena
asl-e-fitna hai qayamat mein bahaar-e-firdaus
juz tere kuchh bhi na chahe mujhe wo dil dena
teri ulfat mein usi tarh rahun main behaal
haal dena ho agar rahm ke qabil dena
haye re haye teri uqda-kushai ke maze
tu hi khole jise wo uqda-e-mushkil dena
KHun-fishani ho meri aaina-ru-e-fana
donon aankhon ko rag-e-gardan-e-bismil dena
na-tawani mein sahaare ko hai ye hi kafi
daman-e-lutf ghubar-e-pas-e-mahmil dena
sar-e-dushman se kahin aag bhaDakte dekhi
shama san mujh ko sar-afraazi-e-mahfil dena
tohmat-e-dil-dehi-e-ghair-e-hawas-kesh ghalat
aap mashuq hain kya jaanen bhala dil dena
naqd-e-jaan-o-dil idhar daulat-e-didar udhar
un ko lena bahut aasan hai mushkil dena
rah ke aaghosh mein ai bahr-e-karam aashiq ko
qismat-e-soKHta-e-sabza-e-sahil dena
tangi-e-ghuncha-e-pazmurda ho sahra-e-wasia
is qadar kulfat-e-afsurdagi-e-dil dena
wada karne se bhi tangi-e-dahan ne roka
bosa kaisa ki zaban un ko hai mushkil dena
dard ka koi mahal hi nahin jab dil ke siwa
mujh ko har uzw ke badle hama-tan dil dena
'asi'-e-zar mein kuchh zoaf se haalat na rahi
dard dena ho to bardasht ke qabil dena
- Book : Diwan-e-aasi (Pg. 17)
- Author : Aasi Ghazipuri
- Publication : Subhanallah Azeem Gorakhpuri (1938)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.