taab har ik aañkh kab laatī hai tere nuur kī
dīda-e-mūsā ho to dekhe tajallī tuur kī
uuprī tujh ko ḳhudā ne dī hai sūrat nuur kī
terī eḌī par karūñ sadqe meñ choTī huur kī
bār-e-isyāñ se ḳhamīda ho gayā hai qad-e-rāst
bojh uThāne se kamar jhuk jaatī hai mazdūr kī
kis qadar tujh ko hasīñ paidā kiyā allāh ne
o pari tujh par na kyūñ-kar raal Tapke huur kī
mai chhuTe gī mujh se kyūñkar mai kā hai merā ḳhamīr
mujh ko ghuTTī meñ pilā.ī hai sharāb añgūr kī
ḳhat ke aate hī diyā āshiq ko bosa yaar ne
shaam kā vaqt aayā ujrat mil ga.ī mazdūr kī
dāva-e-bātil ulūhiyat kā thā fir.aun ko
phir ḳhudāvandī kahāñ jab bandagī manzūr kī
dil na de apnā parī-zādoñ pe dīvāna na ho
dev kī ḳhaslat hai un meñ go hai sūrat huur kī
jalva-e-dīdar kā ik shoḳh ke kushta huuñ 'rind'
merī turbat par lagānā lauh sañg-e-tūr kī
tab har ek aankh kab lati hai tere nur ki
dida-e-musa ho to dekhe tajalli tur ki
upri tujh ko KHuda ne di hai surat nur ki
teri eDi par karun sadqe mein choTi hur ki
bar-e-isyan se KHamida ho gaya hai qad-e-rast
bojh uThane se kamar jhuk jati hai mazdur ki
kis qadar tujh ko hasin paida kiya allah ne
o pari tujh par na kyun-kar ral Tapke hur ki
mai chhuTe gi mujh se kyunkar mai ka hai mera KHamir
mujh ko ghuTTi mein pilai hai sharab angur ki
KHat ke aate hi diya aashiq ko bosa yar ne
sham ka waqt aaya ujrat mil gai mazdur ki
dawa-e-baatil uluhiyat ka tha firaun ko
phir KHudawandi kahan jab bandagi manzur ki
dil na de apna pari-zadon pe diwana na ho
dew ki KHaslat hai un mein go hai surat hur ki
jalwa-e-didar ka ek shoKH ke kushta hun 'rind'
meri turbat par lagana lauh sang-e-tur ki
Source :
- Book : Deewan-e-Rind (Pg. 184)
- Author : Sayyed Mohammad Khan Rind
-
Publication : Munshi Nawal Kishor, Lucknow
(1931)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.