qurbani-e-sarwar ki haqiqat hi alag hai
qurbānī-e-sarvar kī haqīqat hī alag hai
ai dosto ye rāz-e-mashiyyat hī alag hai
karbal se jo niklā hai bahattar ke lahū se
is chashma-e-rahmat kī fazīlat hī alag hai
yuuñ to ka.ī logoñ ne dī kalime kī shahādat
asġhar ne jo dī hai vo shahādat hī alag hai
sar par hai qazā aur laboñ par haiñ duā.eñ
karbal meñ bahattar kī jamā.at hī alag hai
sab jaan bachāte haiñ magar haq pe ye diiñ jaañ
ye āl-e-payambar kī rivāyat hī alag hai
qurbān meñ sau jaan se tujh par ġham-e-shabbīr
andāz mirā terī badaulat hī alag hai
duniyā ke har ik ġham se tujhe degā rihā.ī
'tāhir' ġham-e-shabbīr kī 'azmat hī alag hai
qurbani-e-sarwar ki haqiqat hi alag hai
ai dosto ye raaz-e-mashiyyat hi alag hai
karbal se jo nikla hai bahattar ke lahu se
is chashma-e-rahmat ki fazilat hi alag hai
yun to kai logon ne di kalime ki shahadat
asghar ne jo di hai wo shahadat hi alag hai
sar par hai qaza aur labon par hain duaen
karbal mein bahattar ki jamaat hi alag hai
sab jaan bachate hain magar haq pe ye din jaan
ye aal-e-payambar ki riwayat hi alag hai
qurban mein sau jaan se tujh par gham-e-shabbir
andaz mera teri badaulat hi alag hai
duniya ke har ek gham se tujhe dega rihai
'tahir' gham-e-shabbir ki 'azmat hi alag hai
- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 240)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.