ek aah-e-be-nawa hai ’abid ke aansuon mein
ik āh-e-be-navā hai ’ābid ke āñsuoñ meñ
zālim tirī qazā hai ’ābid ke āñsuoñ meñ
dīn-e-nabī kā gulshan un āñsuoñ meñ sīñchā
islām kī baqā hai ’ābid ke āñsuoñ meñ
jo sabr chāhtā hai parvardigār-e-'ālam
vo sabr boltā hai ’ābid ke āñsuoñ meñ
har ashk kah rahā hai ik dukh-bharī kahānī
ġharqāb karbalā hai ’ābid ke āñsuoñ meñ
daurān-e-ġham tavakkul allāh par hī rakho
ye bhī sabaq chhupā hai ’ābid ke āñsuoñ meñ
har sub.h de rahī hai ġham se bharī sadā.eñ
har shaam be-ridā hai ’ābid ke āñsuoñ meñ
daur-e-yazīdiyat ko 'tāhir' zarā batā do
paiġhām maut kā hai ’ābid ke āñsuoñ meñ
ek aah-e-be-nawa hai ’abid ke aansuon mein
zalim teri qaza hai ’abid ke aansuon mein
din-e-nabi ka gulshan un aansuon mein sincha
islam ki baqa hai ’abid ke aansuon mein
jo sabr chahta hai parwardigar-e-'alam
wo sabr bolta hai ’abid ke aansuon mein
har ashk kah raha hai ek dukh-bhari kahani
gharqab karbala hai ’abid ke aansuon mein
dauran-e-gham tawakkul allah par hi rakho
ye bhi sabaq chhupa hai ’abid ke aansuon mein
har subh de rahi hai gham se bhari sadaen
har sham be-rida hai ’abid ke aansuon mein
daur-e-yazidiyat ko 'tahir' zara bata do
paigham maut ka hai ’abid ke aansuon mein
- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 243)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.