dil-o-nigah mein ghaiz-o-ghazab to hoga hi
dil-o-nigāh meñ ġhaiz-o-ġhazab to hogā hī
nazar se girne kā ehsās ab to hogā hī
use dikhā.ūñgā ā.īna us kī mahfil meñ
mire rafīq meñ pās-e-adab to hogā hī
ḳhulūs pyaar taġhāful karam gile shikve
mizāj-e-yār salāmat ye sab to hogā hī
garebāñ chaak qadam bahke bahke nam āñkheñ
hamāre haal kā koī sabab to hogā hī
use gale se lagā lo haqīr mat samjho
ġharīb kā koī nām-o-nasab to hogā hī
mizāj dekho kināroñ kā kitnā braham hai
nadī ke paas koī tishna-lab to hogā hī
'tamīm' merī sadāqat burī lagī hogī
mire qarīb koī bū-lahab to hogā hī
dil-o-nigah mein ghaiz-o-ghazab to hoga hi
nazar se girne ka ehsas ab to hoga hi
use dikhaunga aaina us ki mahfil mein
mere rafiq mein pas-e-adab to hoga hi
KHulus pyar taghaful karam gile shikwe
mizaj-e-yar salamat ye sab to hoga hi
gareban chaak qadam bahke bahke nam aankhen
hamare haal ka koi sabab to hoga hi
use gale se laga lo haqir mat samjho
gharib ka koi nam-o-nasab to hoga hi
mizaj dekho kinaron ka kitna braham hai
nadi ke pas koi tishna-lab to hoga hi
'tamim' meri sadaqat buri lagi hogi
mere qarib koi bu-lahab to hoga hi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.