aankhen huin thin chaar pata hi nahin chala
āñkheñ huiiñ thiiñ chaar pata hī nahīñ chalā
kab chaḌh gayā ḳhumār pata hī nahīñ chalā
baiThe biThā.e pyaar tirā ḳhud hī ho gayā
kab aql par savār pata hī nahīñ chalā
mahfil uisī kī log usī ke akelā maiñ
khoyā kab iḳhtiyār pata hī nahīñ chalā
maiñ sochtā thā maiñ hī akelā huuñ bā-vaqār
aisā luTā vaqār pata hī nahīñ chalā
kaise huā hai ḳhatm kahāñ se huā shurūa
ye terā intizār pata hī nahīñ chalā
dil mutma.in thā apnī jagah tujh se kyā milā
kab luT gayā qarār pata hī nahīñ chalā
aankhen huin thin chaar pata hi nahin chala
kab chaDh gaya KHumar pata hi nahin chala
baiThe biThae pyar tera KHud hi ho gaya
kab aql par sawar pata hi nahin chala
mahfil uisi ki log usi ke akela main
khoya kab iKHtiyar pata hi nahin chala
main sochta tha main hi akela hun ba-waqar
aisa luTa waqar pata hi nahin chala
kaise hua hai KHatm kahan se hua shurua
ye tera intizar pata hi nahin chala
dil mutmain tha apni jagah tujh se kya mila
kab luT gaya qarar pata hi nahin chala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.