kamal is mein to hai teri dastaras ka bhi
kamāl is meñ to hai terī dastaras kā bhī
vagarna kaam nahīñ ye kisī ke bas kā bhī
yaqīn ham ko bhī thā tum na sah sakoge use
hamārā dard nahīñ hai kisī ke bas kā bhī
tire ḳhayāl ke mānind uḌtā phirtā hai
parinda apnā nahīñ hai kisī qafas kā bhī
hamāre jhunD meñ lagtā hai tanhā tanhā sā
kabūtar aayā hai uḌ kar tire kalas kā bhī
baġhair us ke mukammal nahīñ hikāyat-e-gul
kiyā hai zikr mohabbat meñ ḳhār-o-ḳhas kā bhī
chaman meñ phir se nayā inqalāb laane ko
bahut hai aaj yahāñ saath aaTh das kā bhī
tavajjoh terī use chāhai ‘tamīm’ bahut
ye dil hamārā hai muhtāj dād-ras kā bhī
kamal is mein to hai teri dastaras ka bhi
wagarna kaam nahin ye kisi ke bas ka bhi
yaqin hum ko bhi tha tum na sah sakoge use
hamara dard nahin hai kisi ke bas ka bhi
tere KHayal ke manind uDta phirta hai
parinda apna nahin hai kisi qafas ka bhi
hamare jhunD mein lagta hai tanha tanha sa
kabutar aaya hai uD kar tere kalas ka bhi
baghair us ke mukammal nahin hikayat-e-gul
kiya hai zikr mohabbat mein KHar-o-KHas ka bhi
chaman mein phir se naya inqalab lane ko
bahut hai aaj yahan sath aaTh das ka bhi
tawajjoh teri use chahai ‘tamim’ bahut
ye dil hamara hai muhtaj dad-ras ka bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.