aashiq hun kah raha hun ki puri ho aarzu
āshiq huuñ kah rahā huuñ ki puurī ho aarzū
mahfil meñ terī baiTh ke maiñ bhī huuñ surkH-rū
sab zāhidoñ ko paḌh ke ġhazal vajd āgayā
maiñ ne ġhazal likhī thī kabhī hoke bā-vazū
rāh-e-talab meñ mar gayā majnūñ to kyā huā
mar ke bhī aaj zinda hai vo qais ḳhūb-rū
bād-e-sabā to khūcha-e-jānāñ se aatī hai
is vāste ki tujh se to aa.ī hai us kī bū
un ko nahīñ hai fikr zamāne kī ho bhī kyuuñ
jab do dīvāne baiTh ke karte haiñ guftugū
us kā bayāñ na karnā bhī goyā bayān hai
us ke sukūt meñ bhī hai poshīda guftugū
āḳhir ko raas aahī ga.iiñ sohbateñ 'tamīm'
ya.anī tirī adā hai adā us kī hū-bahū
aashiq hun kah raha hun ki puri ho aarzu
mahfil mein teri baiTh ke main bhi hun surkH-ru
sab zahidon ko paDh ke ghazal wajd aagaya
main ne ghazal likhi thi kabhi hoke ba-wazu
rah-e-talab mein mar gaya majnun to kya hua
mar ke bhi aaj zinda hai wo qais KHub-ru
baad-e-saba to khucha-e-jaanan se aati hai
is waste ki tujh se to aai hai us ki bu
un ko nahin hai fikr zamane ki ho bhi kyun
jab do diwane baiTh ke karte hain guftugu
us ka bayan na karna bhi goya bayan hai
us ke sukut mein bhi hai poshida guftugu
aaKHir ko ras aahi gain sohbaten 'tamim'
yani teri ada hai ada us ki hu-bahu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.