tanhā na dil hī lashkar-e-ġham dekh Tal gayā
tanhā na dil hī lashkar-e-ġham dekh Tal gayā
is ma.arke meñ pā-e-tahammul bhī chal gayā
haiñ garm-e-guftugū gul o bulbul chaman ke biich
hogā ḳhalal sabā jo koī paat mil gayā
us sham.a-rū se qasd na milne kā thā hameñ
par dekhte hī mom-sifat dil pighal gayā
mun.im tū yaañ ḳhayāl-e-imārat meñ kho na umr
le kaun apne saath ye qasr-o-mahl gayā
laagī na ġhair-e-yās hinā-e-umīd haath
duniyā se jo gayā kaf-e-afsos mal gayā
us rāh-rau ne dam meñ kiyā tai rah-e-adam
hastī ke sañg se jo sharar sā uchhal gayā
dekhā har ek zarre meñ us āftāb ko
jis chashm se ki be-basarī kā ḳhalal gayā
guzrī shab-e-shabāb huā roz-e-shaib aḳhīr
kuchh bhī ḳhabar hai qāfila aage nikal gayā
qābil maqām ke nahīñ 'bedār' ye sarā.e
manzil hai duur ḳhvāb se uTh din to Dhal gayā
tanhā na dil hī lashkar-e-ġham dekh Tal gayā
is marke meñ pā-e-tahammul bhī chal gayā
haiñ garm-e-guftugū gul o bulbul chaman ke bich
hogā ḳhalal sabā jo koī pat mil gayā
us shama-rū se qasd na milne kā thā hameñ
par dekhte hī mom-sifat dil pighal gayā
munim tū yañ ḳhayāl-e-imārat meñ kho na umr
le kaun apne sath ye qasr-o-mahl gayā
lagī na ġhair-e-yās hinā-e-umīd hath
duniyā se jo gayā kaf-e-afsos mal gayā
us rāh-rau ne dam meñ kiyā tai rah-e-adam
hastī ke sañg se jo sharar sā uchhal gayā
dekhā har ek zarre meñ us āftāb ko
jis chashm se ki be-basarī kā ḳhalal gayā
guzrī shab-e-shabāb huā roz-e-shaib aḳhīr
kuchh bhī ḳhabar hai qāfila aage nikal gayā
qābil maqām ke nahīñ 'bedār' ye sarāe
manzil hai dur ḳhwāb se uTh din to Dhal gayā
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.