main hi hun rashk-e-pari yusuf-e-kanan hokar
maiñ hī huuñ rashk-e-parī yūsuf-e-kan.āñ hokar
thā kabhī jalva-numā taḳht-e-sulaimāñ hokar
maiñ hī huuñ soz-o-gudāz-o-ġham-o-andoh-o-alam
chubh rahā hai dil-e-'ushshāq meñ armāñ hokar
ma.arifat apnī baġhair us kī thī ek amr-e-muhāl
apne 'ārif meñ huā sūrat-e-insāñ hokar
mubtalā 'ishq meñ apne hī huā jaatā huuñ
kabhī dil ho ke kabhī chashm kabhī jaañ hokar
main hi hun rashk-e-pari yusuf-e-kanan hokar
tha kabhi jalwa-numa taKHt-e-sulaiman hokar
main hi hun soz-o-gudaz-o-gham-o-andoh-o-alam
chubh raha hai dil-e-'ushshaq mein arman hokar
marifat apni baghair us ki thi ek amr-e-muhaal
apne 'arif mein hua surat-e-insan hokar
mubtala 'ishq mein apne hi hua jata hun
kabhi dil ho ke kabhi chashm kabhi jaan hokar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.