tasawwur arsh par hai waqf-e-sajda hai jabin meri
tasawwur arsh par hai waqf-e-sajda hai jabin meri
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
tasavvur 'arsh par hai vaqf-e-sajda hai jabīñ merī
mirā ab pūchhnā kyā āsmāñ merā zamīñ merī
agar ik tū nahīñ merā to koī shai nahīñ merī
jo tū merā to sab merā falak merā zamīñ merī
ḳhudā-rā yuuñ na aa bāloñ ko khole jhūmtā saaqī
are nīyat na Dāñvāñ-Dol ho jaa.e kahīñ merī
udhar tū dar na kholegā idhar maiñ dar na chhoḌūñgā
hukūmat apnī apnī hai kahīñ terī kahīñ merī
jo haarā huuñ kisī se maiñ to haarā huuñ muqaddar se
jo TuuTī hai kahīñ himmat to TuuTī hai yahīñ merī
tasawwur 'arsh par hai waqf-e-sajda hai jabin meri
mera ab puchhna kya aasman mera zamin meri
agar ek tu nahin mera to koi shai nahin meri
jo tu mera to sab mera falak mera zamin meri
KHuda-ra yun na aa baalon ko khole jhumta saqi
are niyat na Danwan-Dol ho jae kahin meri
udhar tu dar na kholega idhar main dar na chhoDunga
hukumat apni apni hai kahin teri kahin meri
jo haara hun kisi se main to haara hun muqaddar se
jo TuTi hai kahin himmat to TuTi hai yahin meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.