tegh chaDh uski san par aai
teġh chaḌh us kī saan par aa.ī
dekheñ kis kis kī jaan par aa.ī
ham bhī hāzir haiñ khīñchiye shamshīr
tab.a gar imtihān par aa.ī
Tuk shikāyat kī ab ijāzat ho
nahīñ ruktī zabān par aa.ī
pūchhiye hāl-e-zār ye na kabhū
dil-e-nā-mehrbān par aa.ī
dil hamārā ki ghar ye terā thā
kyuuñ shikast is makān par aa.ī
kaT ga.ī dūdmān-e-tāk kī naak
duḳht-e-raz jab dukān par aa.ī
Tuk to zālim sambhāl ḳhanjar-e-kīñ
kārad ab ustuḳhvān par aa.ī
ālam-e-jāñ se tū nahīñ aayā
ek aafat jahān par aa.ī
ġhair ke aage dil kī baat 'bayāñ'
aah merī zabān par aa.ī
tegh chaDh us ki san par aai
dekhen kis kis ki jaan par aai
hum bhi hazir hain khinchiye shamshir
taba gar imtihan par aai
Tuk shikayat ki ab ijazat ho
nahin rukti zaban par aai
puchhiye haal-e-zar ye na kabhu
dil-e-na-mehrban par aai
dil hamara ki ghar ye tera tha
kyun shikast is makan par aai
kaT gai dudman-e-tak ki nak
duKHt-e-raz jab dukan par aai
Tuk to zalim sambhaal KHanjar-e-kin
karad ab ustuKHwan par aai
aalam-e-jaan se tu nahin aaya
ek aafat jahan par aai
ghair ke aage dil ki baat 'bayan'
aah meri zaban par aai
- Book : Diwan-e-Bayan Edited: Arjumand Ara (Pg. 125)
- Author : Ahsanullaah Khan Bayan
- Publication : Anjumat Taraqqi Urdu (Hind) New Delhi (2004)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.